Meri 4 Saal Ki SEO Journey: Internship Se Project Manager Tak Ka Safar
Mera naam Hafiz Muhammad Ahsan Ayyaz hai, lekin log mujhe pyar se Hafiz Ahsan ya Hafiz G keh kar bulate hain. Main Lahore ka rehne wala hoon aur SEO (Search Engine Optimization) aur recruitment ka kaam karta hoon. Main married hoon aur Allah ka shukar hai, meri ek pyari beti hai. Mujhe naye naye jagah explore karna, cricket khelna or dekhna (jab Shahid Afridi khelta tha tab zyada shoq tha) aur SEO ke naye techniques seekhna bohot pasand hai. Isi shauq aur mehnat ki wajah se maine apni SEO journey ka safar internship se lekar project manager tak tay kiya. Aaj main apni 4 saal ki SEO journey share kar raha hoon, jo naye logon ke liye bhi ek inspiration ban sakti hai.
Meri SEO Journey Ka Aaghaz (Internship Period)
Orchard Solution DHA Phase 1 (January 28, 2021 - May 2022)
Maine apni SEO journey Orchard Solution software house se start ki. Yeh software house DHA Phase 1, Lahore mein tha or abhi b wohi hai, jahan maine as an SEO internee join kiya. Yahan owner ka name M Qadeer Kamboh h. Mera kaam primarily link building ka tha, jisme mujhe tier link building, article submission, social bookmarking, ad posting, profile creation, social media backlinks, blog commenting, guest posting, outreach, PPT & PDF submission jaise tasks karne ka or seekhne ka moka mila. Yahan maine anchor text aur spam score ko samajhna shuru kiya aur Moz, SEMrush aur Ahrefs jese tools ka istemal seekha. Is waqt mujhe on-page k hawaly se sirf content upload aur delete karna aata tha, lekin metas ka zyada knowledge nahi tha.
Achievements:
Is software house mein kaam karte waqt, rushpackaging.com, customboxeszone.com aur orchardpackaging.com ke projects par kaam kiya. In projects mein kaafi keywords top 35 ranking tak le k aya tha, jaise hairspray boxes, hair extension packaging boxes etc. Yeh meri pehli achievement thi jo mujhe aur mehnat karne ka hosla deti rahi.
Freelancing & Short-Term Jobs
Appcrates (Short-Term Job - 1 Month)
Orchard Solution ke baad maine Appcrates jo k Gulerg Lahore me tha wahan mene join kiya lekin sirf 1 month tak wahan raha. Wahan mujhe interns ko train karna aur link building techniques sikhana hota tha. Magar Islamic point of view ki wajah se wahan ke projects mujhe suit nahi kiye, q k yahan ki kuch websites adult movies k upr bani hoi thin, isliye maine wahan se leave le li.
Solution Surface (June 2022 - June 2023)
Iske baad maine Senior Link Builder k designation p Solution Surface join kiya jo DHA Lahore mein located tha or abhi b wohi ha. Yahan mujhe paid websites ke backlinks ke liye negotiation karni hoti thi. Projects the TheWispy.com, AfzalMart.com, SolutionSurface.com. Yahan maine Paid backlinks banakar keywords ko rank karna seekha aur successfully Parental Spy App, Top Spy Apps jaise keywords ko Google ke top pages par lekar aaya.
Senior Role & Project Management
QCR Technologies (July 2023 - March 2024)
Maine QCR Technologies ko as a link builder join kiya tha lekin 3 mahine baad project manager bana diya gaya. QCR Technologies me mujhe 12 projects handle karne ka moka mila, jin mein Blue Nile Livery, SRTClimo, Book A Ride Limo, MetroWestCarService, InstaNavigation, SDVIPTransportation shamil hain. Is position mein maine team lead karna, errors solve karna, content update karna, 301 & 302 redirections aur Yoast & Avada builder ka use seekha. Ye aik contract base job thi.
Freelance (Home-Based Job)
QCR ke sath sath maine OpenX aur ClassicSEO ke link building projects bhi home-based kiye. Yeh contract-based job thi company name Blackloup tha jisme maine 9 months tak kaam kiya.
Current Position: SEO Assistant at HMI Innovation (Since August 12, 2024 - Present)
Filhal main HMI Innovation (Firdos Market, Lahore) mein SEO Assistant ke tor par kaam kar raha hoon. Yahan mujhe internees ko train karna, team ke sath coordinate karna, naye projects ka audit karna, on-page aur technical SEO handle karna hota hai. Mere under Texan Knives, GMT Home Services, Alloy Hybrid, King Wireless & Phone Repair, AutoParts Bundle jese projects hain. Yahan jo tools use karta hoon unmein Ahrefs, SEMrush, Moz, Google Keyword Planner, Ubersuggest, ChatGPT shamil hain.
Conclusion: Meri Seekh Aur Naye SEO Learners Ke Liye Advice
Meri SEO journey ek zabardast experience rahi hai jo internship se project manager tak ka safar tha. Is safar mein maine bohot kuch seekha, naye tools seekhe, naye logon se interact kiya aur naye challenges ka samna kiya. Jin companies ke sath maine kaam kiya, unme se kuch ke official pages ya websites ab available nahi hain. Lekin yeh companies exist karti hain, aur mere paas unke experience letters mojood hain jo meri professional journey ko validate karte hain. Meri advice naye SEO learners ke liye yeh hai:
- Hamisha naye SEO trends aur techniques seekhne par focus rakho. Jesy k ab zyada role seo me LSI (Latent Sementic SEO) ka h
- Link building aur technical SEO dono par equally focus karo.
- Paid aur free tools ka istemal seekho aur un par grip hasil karo.
- Freelancing aur office jobs dono ko parallel rakhne ki koshish karo.
- Mistakes se seekho aur apni SEO strategies improve karte raho.
- Kabhi bhi Experiments karny se nahi ghabrana q k mere nazdeek SEO Experiment ka hi name h
Agar aap bhi SEO seekhna chahte hain ya apni ranking improve karna chahte hain to mujhse contact kar sakte hain.
Meri contact profie ye han.
SEO is a journey, not a destination – Keep Learning, Keep Growing!
Comments
Post a Comment